Kya main ye haath hu? Ya ye haath mera hai?
Kisine kahan ki haath mere bina adhura hai. toh kya main iske bina pura hu?
Jaise main sochta hu ye haath mera hissa hai, shayad mera haath bhi yahi sochta hoga ki main iska hissa hu.
Iske hone na hone karne na karne ka asar mere jivan ke har ek pehlu pe padta hai. Thik jaise brhaman ke numntan kone me mere Karni ka asar padta hai. Mere hone ka asar padta hai.
Ye kaynat mujhe pura banati hai lekin ye Brahman mere bina adhura hai.
No comments:
Post a Comment
Do reward my efforts with your comments and constructive criticism