Monday, December 22, 2014

Chand ki peshaani


Aaj phir chaand ki Peshani se uthta hai dhuan
Aaj phir chaand ki Peshani se uthta hai dhuan
Aaj phir mehki hui Raat mein jalna hoga
Aaj phir chaand ki Peshani se uthta hai dhuan
Aaj phir seene mein Suljhee hui vazni sansein
Phat ke bas toot hi jayengi Bikhar jayengi

Aaj phir jaag ke guzregi tere Khwaab mein raat
Aaj phir chaand ki Peshani se uthta hai dhuan
Aaj phir mehki hui Raat mein jalna hoga
Aaj phir chaand ki Peshani se uthta hai dhuan
Aaj phir seene mein Badbaano ki tarah Phuli huyi hai saanse
Badbaano ki tarah Phuli huyi hai saanse
Aur joonun le ke chala Behete jaziro ki taraf
Fir kisi dard ke Sahil pe utarana hoga
Aaj phir chaand ki Peshani se uthta hai dhuan
Aaj phir mehki hui Raat mein jalna hoga
Aaj phir chaand ki peshani se.

By Gulzar Sahab

No comments:

Post a Comment

Do reward my efforts with your comments and constructive criticism